2 Parathe Bik Gaye 30000DH me , Shaitan bhonkta rah gaya

 


Dunyame do qism ke insan hote hain ek wo jo har haal me sabit qadam rah kar allah ki zaat par bharosa kar ke kuch kamyab hote hain aor,

Dusre wo log hote hain jo pareshan ho kar shaitan ke bahkawe me aa jate hain aor gum rah hojate hain bil aakhir unki zindagi tabah ho jati hai abu nasar sayyad nami shakhs un logon me se hain jo har hal me allah ki zat par bharosa karte hain aor shaitan ke bahkawe me nahi aate hain,


Un ke 2 parathe aor allah ke inaamaat


 Abu nasar sayuad nami ek shakhs apni bivi aor ek bache ke sat gharibi aor bhuk mari ki zindagi guzar raha tha, ek din wo apni bivi aor bache ko bhook se nidhal bilakta rota ghar me chhor kar khud pareshan ho kar kahi jaraha tha ke raste me unki mulaqat ek alim e deen ahmed bin miskeen se huwa jise dekhte hi abu nasar ne kaha molvi sahab me bahut pareshan hu, molvi ji ne kaha mere peeche aao ham samandar ke paas chalte hai,


  Samandar ke pas pahunch kar molvi ji ne kaha do rekaat namaz padho me ne jab namaz padh li to molvi ji ne ek jaal de kar kaha ise bismillah padh kar samandar me phenko jise hi me ne jaal samandar me phenka ek badi si machli phans kar bahar aagayi molvi ji ne mujhe kaha ke is machli ko bazar le ja kar becho aor us se jo paise mile un paison se apni bivi bacho ki zaroorat poori karo,


Abu nasar kahte hain ke me ne city me ja kar us machli ko bech kar ek qeeme wala meetha parotha khareeda aor use molvi sahab ke pas le kar aaya aor me ne kaha ke molvi sahab aap bhi is me se kuch qubool kar len to molvi sahab ne kaha ke agar tum ne khud khane ke liye jaal phenla hota to ek bhi machli nahi phansti me ne tumhare saath neki kithi koi badla lene ke liye nahi tum ye parathe le kar jao aor apne ghar walon ko khilao,


Me paratha liye khushi khushi apne ghar ko jarahatha ke raste me ek bhukhi aorat ko rote huwe dekha ke usle paas rota bilakta beta bhi baitha huwa tha mujhe ajeeb sa laga me ne apne hathon me rakhe parathe ke yaraf dekha aor phir us roye huwe aorat aor bache ki taraf dekh kar mere dil me khayal aya ke mere bivi bacho me aor is aorat aor bache me kiya farq hai wo bhi bhooke hain aor ye bhi bhooke hain parathe kin ko dena chahiye mere dil me kuch khayal aaya aor me ne paratha seedha us aorat ki taraf badha kar kaha ke lo kha lo aorat ke chahre par khushi aor bache ke chahre par muskurahat phail gayi,


Me ye sochte huwe apne ghar ki taraf chal pada ke ab bhooke bivi bacho la kaise samna karunga ye sochte huwe ja hi raha tha ke samne ek banda elaan kar raha tha ke abu nasar kon hai tum me logo ne pukarne wale se kaha ke dekho yahi to abu nasar hai meri taraf oshara karte huwe kaha pukarne wala banda mere pass aya aor kahne laga tumhare baap nemujhe 20 sal pehle tees hazaar dirham diye the (30000DH) amanat me lekin ye nahi bataya tha ke inka kiya karna hai jab se tere walid faut huwe hain me tumhe dhundhta phir raha hun aaj tum mujhe mile ho to ye lelo 30000dh ye tumhare abba ka mal hai abu nasar ka kahna tha ke me baithe bithae ameer ban gaya |


Abu nasar kahte hain ke uske baad meri zindagi badal kar rah gayi mujh par shaitan ne kai baar hamla kiya mujhe gumrah karne ki koshish ki mujhe zakat sadaqat se darata raha lekin allah ne meri shaitan ke hamle se hifazat farmai aor meri tarqqi badhti chali gayo mere kai kai ghar bane meri tijarat phailti chali gayi mene kabhi kisi ko allah ke nam par dene me kanjusi nahi ki ek hi baar me hazaar haar dirham shukrane ke taur par sadqa dediya karta tha mujhe apne ap par rask aata tha ke allah ne mujhe farakhdili se sadqa karne wala bana diya,


Ek bar me ne khab me dekha ke hisab kitab ka din aagaya hai maidan e mahshar me tarazu laga diya gaya hai pukarne wale ne awaz do abu nasar ko laya jaye aor uske gunah aor sawab taule jaye me ne dekha palre me ek taraf meri nekiyan aor dusri taraf mere gunaah rakhe gaye to gunaho ka palra bhari tha me ne poocha ke mere sadaqaat waghairah kahan hai tolne wlon ne mere sadaqat palre me rakj diye har hazar hazar dirham ke neeche nafas ki shahwat khud numayi khwahish riyakari ka mulamma chdha hiwa tha jis ne mere in sadaqat ko rooi se zoyada halka bana diya tha mere gunaho ka plra abhi bhi bhari tha me ro pada aor kahne laga meri najat kaise hogi itne me pukarne wale ne laha ke agar koi aor amal inka ho to le aao,


Me ne suna ek farishata kah raha tha ke haan uske diye huwe do parathe hain jo abhi tak meezan me nahi rakhe gaye hain wo do parathe tarazu par rakhe gaye to nekiyon ka palra utha zaroor magar abhi na to barabar tha aor na hi ziyada pukarne wale ne phir poocha hai koi aor uska amal farishte ne jawab diya ke han abhi us ke liye kuch baaqi hai pukarne wale ne poocha wo kiya hai to jawab mila ke us aorat ke aansu hain jinhen do parathe diye gae the aorat ke aansu ko jab nekiyon ke palre me dala gaya to pahad jaise wazan ne nekiyon ke palre ko gunahon ke palre ke barabar la khara kar diya me andar hi andar khush ho gaya ke ab najat ho jayegi,


Pukarne wale ne poocha ke koi aor amal hai uska? Faroshte ne kaha ke han abhi us bache ki muskurahat ko palre me rakhna baqi hai jo paratha lete huwe uske chahre par aayi thi me ne dekha ke jab muskurahat nekiyon ke palre me rakhi gayi to nekiyo wala palra bahut ziyada bhari ho gaya pukarne wale ne kaha ke ye shakhs najat pa gaya,


Abu nasar kahte hain ke meri neend se aankh khul gayi aor me ne apne aap se kaha ae abu nasar aaj tujhe tere bade bade sadqon ne nahi balke tujhe teri 2rotiyon ne bacha liya.

Comments

Popular posts from this blog

2021 New year aor shaitan ki karguzari, shaitan ki mehnate, shaitan ka kamal bhi dekhen

Shaitan kis tarah logo par apna phanda phenkta hai