Shaitan kis tarah logo par apna phanda phenkta hai

 


Shaitan ko allah taala ne itni salahiyat di huwi hai ke mat puchiye , wo jab chahe jahan chahe jis tarah chahe logo ko gumrah kar sakta hai, shaitan ko ham se ziyada allah ki maarifat aor pehchan hasil hai yaani shaitan allah ki zaat ko achi tarah samajhta hai jitna ek aam insan allah ko nahi pehchan sakta hai.

Aadam alaihissalam ko sajda na karne par jab allah ko shaitan par ghussa aya to shaitan wahan se nahi bhaga balke wahi allah ke samne data raha is liye shaitan ko allah ki rahmat par pura bharosa tha jiska us ne poora fayida uthaya aor allah se uske bamdo ko har tarah se gumraah karne ki muhlat mang li allah rabbul izzat ne farmaya ja tu jis tarah se chahe mere bande ko gumrah kar le lekin yad rakhna ke tere bahkawe me sirf wahi bande ayenge jo aobash aor gumrah hunge,

Isi ke saath saath us ne har pehlu se allah se muhlat mang li aor shaitan wahan se rukhsat ho gaya.

Allah rabbul izzat ki meherbani to dekhen ke aik taraf shaitan ko khuli ijazat dedi aor dusri taraf apne bando ko shaitan se bachne ka sab se bada hathiyar bhi ata farmadiya, shaitan aaj hamare atraf me hi nahi balke insani rag o reshe me ghusa huwa hai har taraf ibadat ke maqamat yani masjid ke bahar bazaron me galiyon me sadko par yahan tak ke shaitan se koi jagah khali nahi bachi, aag, pani, sardi, garmi, barsat, susti, har cheez ka shaitan apna hathiyar bana leta hai aor uska saheeh istemal bhi shaitan achi tarah karna janta hai isi liye aksar shaitan insano ko bahkane me kamyab ho jata hai,

Allah ham sab ki hifazat farmaye.

Comments

Popular posts from this blog

2 Parathe Bik Gaye 30000DH me , Shaitan bhonkta rah gaya

2021 New year aor shaitan ki karguzari, shaitan ki mehnate, shaitan ka kamal bhi dekhen